Tuesday, 7 August 2018

A eulogy to the 12 burnt schools in Chilas

"Aik Paigam Aaitish Bazigaron Ke Naam"

Aik school mein hota kya hai
Woh aatish nazar ho gaya to khota kya hai?

Padhti hain yahan bachiyan, bola kisi ne
Tauba Tauba - Jalado inhain! socha kisi ne

Raat ke andharay mein kar dala unhein aagh ki nazar
Raakh ho gayi - woh table, woh kursi, woh rang barangi soft board jis pe kabhi, bachiyon ne seencha tha ek khoobsoorat manzar

Aik school mein hota kya hai
woh aatish nazar ho gaya to khota kya hai?

Sochtay hain woh - kitabon mein hai taleem
kursiyon mein, imaraton mein hai taleem

Band ho jaengi yeh imaratein
To rastay school ke tham jaengay

Ek chotay school se
Nikalta hai ek baray school ka raasta

Jis mein tum bhi ho
Aur mein bhi hoon

Woh school hai - taaron ka, chaand ka, sooraj ka, parindon ka, darakhton ka, baadalon ka, pahadon ka, nadiyon ka, khuli fiza aur hawaoon ka

Jin ko dekh kar - poochta hai dil, mein kaun hoon, kahan hoon, kaise hoon, kyun hoon

Aatish nazar kar sakte ho in sab ko
To kar do

Warna sawal ubhartay rahenge aatish ban ke
Is school se us school tak

Aik school mein hota kya hai
Woh aatish nazar ho gaya to khota kya hai?

No comments:

Post a Comment